Ai chaand zaraa chhup jaa ai vaqt zaraa ruk jaa

ऐ चाँद ज़रा छुप जा ऐ वक़्त ज़रा रुक जा
Work
Year
Language

आ: ऐ चाँद ज़रा छुप जा ऐ वक़्त ज़रा रुक जा
इक बात है होंठों पे कह लूँ तो क़रार आए
इक बोझ तो हट जाए
र: ऐ चाँद ज़रा छुप जा ऐ वक़्त ज़रा रुक जा
रुख़ उनका इधर को है अब क्‌यूँ न बहार आए
दुनिया न बदल जाए
ऐ चाँद ज़रा छुप …

आ: सब ख़्वाब सा लगता है इस रात में जादू है
ख़ामोश नज़ारों की हर साँस में जादू है
हम हैं कि बँधे से हैं दिल है कि उड़ा जाए
इक बात है होंठों …

र: मैं प्यार की बाज़ी में दिल हारा तो क्‌या हारा -2
पहलू में मेरे दुनिया बाँहों में जहाँ सारा
क्‌या देगा मुक़द्दर अब हम माँग के पछताए
आ: ऐ चाँद ज़रा …

ā: ai chāṇd zarā chhup jā ai vaqt zarā ruk jā
ik bāt hai hoṅṭhoṅ pe kah lūṇ to qarār āe
ik bojh to haṭ jāe
ra: ai chāṇd zarā chhup jā ai vaqt zarā ruk jā
rukh unkā idhar ko hai ab k‌yūṇ na bahār āe
duniyā na badal jāe
ai chāṇd zarā chhup …

ā: sab khvāb sā lagtā hai is rāt meṅ jādū hai
khāmośh nazāroṅ kī har sāṇs meṅ jādū hai
ham haiṅ ki bṇdhe se haiṅ dil hai ki uṛā jāe
ik bāt hai hoṅṭhoṅ …

ra: maiṅ pyār kī bāzī meṅ dil hārā to k‌yā hārā -2
pahlū meṅ mere duniyā bāṇhoṅ meṅ jahāṇ sārā
k‌yā degā muqaddar ab ham māṇg ke pachhtāe
ā: ai chāṇd zarā …