ऐ चाँद कल जो आना उनको भी साथ लाना
ऐ चाँद कल जो आना उनको भी साथ लाना
वो जिनके बग़ैर आज प्यार बेक़रार है
ये ठंडी हवा ये समाँ ये नज़ारे
ऐसे में आए कोई दिल को पुकारे
जिसे मेरी अँखियों ने देखा इक बार है
वो जिनके बग़ैर आज …
ओ चन्दा बता है कहाँ चाँद मेरा
इतना बता दे तो क्या बिगड़ेगा तेरा
पहली पहली प्रीत मेरी पहला पहला प्यार है
वो जिनके बग़ैर आज …
ai chāṇd kal jo ānā unko bhī sāth lānā
vo jinke baġhair āj pyār beqrār hai
ye ṭhaṅḍī havā ye samāṇ ye nazāre
aise meṅ āe koī dil ko pukāre
jise merī aṇkhiyoṅ ne dekhā ik bār hai
vo jinke baġhair āj …
o chandā batā hai kahāṇ chāṇd merā
itnā batā de to kyā bigaṛegā terā
pahlī pahlī prīt merī pahlā pahlā pyār hai
vo jinke baġhair āj …