Agar bevphaa tujhko pahchaan jaate

अगर बेवफा तुझको पहचान जाते
Year
Language

अगर बेवफ़ा तुझ को पहचान जाते
खुदा की कसम हम मोहब्बत ना करते
जो मालूम होता ये अंज़ाम-ए-उल्फ़त
तो दिल को लगाने की जुर्रत ना करते

जिन्हे तुमने समझा मेरी बेवफ़ाई
मेरी जिंदगी की वो मजबूरियाँ थी
हमारी मोहब्बत का एक इम्तिहां था
ये दो दिन की थोड़ीसी जो दूरियाँ थी
अगर सच्ची होती मोहब्बत तुम्हारी
तो घबराके तुम यूँ शिकायत ना करते

जो हम पे है गुज़री हम ही जानते थे
सितम कौनसा है नहीं जो उठाया
निगाहों में फिर भी रही तेरी सूरत
हर एक साँस में तेरा पैगाम आया
अगर जानते तुम ही इल्ज़ाम दोगे
तो भूले से भी हम तो उल्फ़त ना करते

agar bevafā tujh ko pahchān jāte
khudā kī kasam ham mohabbat nā karte
jo mālūm hotā ye aṅzām-e-ulfat
to dil ko lagāne kī jurrat nā karte

jinhe tumne samjhā merī bevafāī
merī jiṅdgī kī vo majbūriyāṇ thī
hamārī mohabbat kā ek imtihāṅ thā
ye do din kī thoṛīsī jo dūriyāṇ thī
agar sachchī hotī mohabbat tumhārī
to ghabrāke tum yūṇ śhikāyat nā karte

jo ham pe hai guzrī ham hī jānte the
sitam kaunsā hai nahīṅ jo uṭhāyā
nigāhoṅ meṅ phir bhī rahī terī sūrat
har ek sāṇs meṅ terā paigām āyā
agar jānte tum hī ilzām doge
to bhūle se bhī ham to ulfat nā karte