अब तो बिना तुम्हारे मुहब्बत के वतन में
अब तो बिना तुम्हारे मुहब्बत के वतन में
या अश्क़ बरसते हैं या फिर आग सावन में
अब तो बिना तुम्हारे …
तुम से बिछड़ के दर्द के घेरों में आ गए
हम रोशनी से दूर अंधेरों में आ गए
अब जा के फ़र्क़ जाना जुदाई में मिलन में
अब तो बिना तुम्हारे …
दुश्मन बने आप ही अपनी खुशी के हम
ऐ दोस्त बिन तुम्हारे भी देखेंगे जी के हम
खुद आग लगा बैठे हैं हम अपने चमन में
अब तो बिना तुम्हारे …
तुमको न कोई शिकवा कभी हो नसीब से
कोई भी ग़म न गुज़रे तुम्हारे करीब से
आयें तुम्हारे ग़म भी हमारे नसीब में
अब तो बिना तुम्हारे …
ab to binā tumhāre muhabbat ke vatan meṅ
yā aśhq baraste haiṅ yā phir āg sāvan meṅ
ab to binā tumhāre …
tum se bichhaṛ ke dard ke gheroṅ meṅ ā gae
ham rośhnī se dūr aṅdheroṅ meṅ ā gae
ab jā ke farq jānā judāī meṅ milan meṅ
ab to binā tumhāre …
duśhman bane āp hī apnī khuśhī ke ham
ai dost bin tumhāre bhī dekheṅge jī ke ham
khud āg lagā baiṭhe haiṅ ham apne chaman meṅ
ab to binā tumhāre …
tumko na koī śhikvā kabhī ho nasīb se
koī bhī ġham na guzre tumhāre karīb se
āyeṅ tumhāre ġham bhī hamāre nasīb meṅ
ab to binā tumhāre …