Aayee aayee raat suhaanee sun le khushee kee kahaanee

आयी आयी रात सुहानी सुन ले ख़ुशी की कहानी
Work
Year
Language

आयी आयी रात सुहानी सुन ले ख़ुशी की कहानी
सुन ले ख़ुशी की कहानी

नींद की परीयाँ आयीं सुलाने
फूलों की डोली में झूला झूलाने, झूला झूलाने
नाज़ों की पाली ओ मेरी जानी,
सुन ले ख़ुशी की कहानी …

चाँद तेरा अनमोल खिलौना
प्यार की गोदी तेरा बिछौना, तेरा बिछौना
रूप नगर की छोटी सी रानी,
सुन ले ख़ुशी की कहानी …

पूरे हों तेरे अरमान सारे
इतनी उमर हो जितने हैं तारे, जितने हैं तारे
हर रोज़ आये ये शादमानी,
सुन ले ख़ुशी की कहानी …

शहनाई बाजे हर दम ख़ुशी की
देखे बहारें तू ज़िंदगी की, तू ज़िंदगि की
आजा मुबारिक हो ज़िंदगानी
सुन ले ख़ुशी की कहानी …

āyī āyī rāt suhānī sun le khuśhī kī kahānī
sun le khuśhī kī kahānī

nīṅd kī parīyāṇ āyīṅ sulāne
phūloṅ kī ḍolī meṅ jhūlā jhūlāne, jhūlā jhūlāne
nāzoṅ kī pālī o merī jānī,
sun le khuśhī kī kahānī …

chāṇd terā anmol khilaunā
pyār kī godī terā bichhaunā, terā bichhaunā
rūp nagar kī chhoṭī sī rānī,
sun le khuśhī kī kahānī …

pūre hoṅ tere armān sāre
itnī umar ho jitne haiṅ tāre, jitne haiṅ tāre
har roz āye ye śhādmānī,
sun le khuśhī kī kahānī …

śhahnāī bāje har dam khuśhī kī
dekhe bahāreṅ tū ziṅdgī kī, tū ziṅdgi kī
ājā mubārik ho ziṅdgānī
sun le khuśhī kī kahānī …