Aavaaz de rahaa hai koee aasmaan se

आवाज़ दे रहा है कोई आसमान से
Work
Year
Language

आवाज़ दे रहा है कोई आस्मान से
आजा मेरे जहाँ में अपने जहान से
आवाज़ दे रहा है कोई

बेचैन कर रहीं हैं बुलावे की हर सदा
हर साँस पे धड़कता है यूँ आज दिल मेरा
जैसे हवा की मौज से बुझने लगे दिया
बुझने लगे दिया
ये राज़ वो है कह न सकूं जो ज़ुबान से
आजा मेरे जहाँ में अपने जहान से
आवाज़ दे रहा है कोई

पलकों में आँसुओं को छुपाये हुए हूँ मैं
तारों से अपने घर को सजाये हुए हूँ मैं
साजन की धुन ज़बाँ पे लाये हुए हूँ मैं
लाये हुए हूँ मैं
है बेखबर ज़माना मेरी दास्तान से
आजा मेरे जहाँ में अपने जहान से
आवाज़ दे रहा है कोई

āvāz de rahā hai koī āsmān se
ājā mere jahāṇ meṅ apne jahān se
āvāz de rahā hai koī

bechain kar rahīṅ haiṅ bulāve kī har sadā
har sāṇs pe dhaṛaktā hai yūṇ āj dil merā
jaise havā kī mauj se bujhne lage diyā
bujhne lage diyā
ye rāz vo hai kah na sakūṅ jo zubān se
ājā mere jahāṇ meṅ apne jahān se
āvāz de rahā hai koī

palkoṅ meṅ āṇsuoṅ ko chhupāye hue hūṇ maiṅ
tāroṅ se apne ghar ko sajāye hue hūṇ maiṅ
sājan kī dhun zabāṇ pe lāye hue hūṇ maiṅ
lāye hue hūṇ maiṅ
hai bekhabar zamānā merī dāstān se
ājā mere jahāṇ meṅ apne jahān se
āvāz de rahā hai koī