आवारा ऐ मेरे दिल
जाने कहाँ है तेरी मंज़िल
आवारा ऐ मेरे दिल
वीरानों में, सहराओं में
आती जाती इन राहों में
तेरे इशारों पर
नाची मैं जीवन भर
आवारा …
अब तो बतला, ऐ दिल मेरे
बाकी हैं अब कितने फेरे
अब तो रुके ये सफ़र,
मेरा भी हो कोई घर
आवारा …
रात और दिन के ये दो चहरे
कौन है अपना, ये तो कह दे
मैं कौन हूँ मैं क्या हूँ
सच हूँ या साया हूँ
आवारा …
कैसे कैसे तूफ़ाँ आये
बिजली चम्की, बादल छाये,
पर ना रुके हम तुम,
पर ना झुके हम तुम
आवारा …
āvārā ai mere dil
jāne kahāṇ hai terī maṅzil
āvārā ai mere dil
vīrānoṅ meṅ, sahrāoṅ meṅ
ātī jātī in rāhoṅ meṅ
tere iśhāroṅ par
nāchī maiṅ jīvan bhar
āvārā …
ab to batlā, ai dil mere
bākī haiṅ ab kitne phere
ab to ruke ye safar,
merā bhī ho koī ghar
āvārā …
rāt aur din ke ye do chahre
kaun hai apnā, ye to kah de
maiṅ kaun hūṇ maiṅ kyā hūṇ
sach hūṇ yā sāyā hūṇ
āvārā …
kaise kaise tūfāṇ āye
bijlī chamkī, bādal chhāye,
par nā ruke ham tum,
par nā jhuke ham tum
āvārā …