Aashaa niraashaa to jeevan men aae ... haarenge na himmat kabhee

आशा निराशा तो जीवन में आए ... हारेंगे न हिम्मत कभी
Work
Year
Language

आशा निराशा तो जीवन में आए होनी को कोई रोक न सके
डर के न रुक जाना बढ़ते जाना
हारेंगे न हिम्मत कभी ले लें चलो हम कसम
आशा निराशा तो …

मौसम बदलता रहेगा ये दौर चलता रहेगा
दो घड़ी का अंधेरा आयेगा फिर सवेरा
ये वक़्त तो रुकता नहीं अम्बर कभी झुकता नहीं
आंधी से तूफ़ां से न घबराना
हारेंगे न हिम्मत …

काँटों में भी गुल खिलेंगे ग़म की भी गुल खुशी है
आँसू के पीछे हँसी है
उम्मीद को खोना नहीं मायूस तुम होना नहीं
मुश्किल की घड़ियों में तुम मुस्कराना
हारेंगे न हिम्मत …

āśhā nirāśhā to jīvan meṅ āe honī ko koī rok na sake
ḍar ke na ruk jānā baṛhte jānā
hāreṅge na himmat kabhī le leṅ chalo ham kasam
āśhā nirāśhā to …

mausam badaltā rahegā ye daur chaltā rahegā
do ghaṛī kā aṅdherā āyegā phir saverā
ye vaqt to ruktā nahīṅ ambar kabhī jhuktā nahīṅ
āṅdhī se tūfāṅ se na ghabrānā
hāreṅge na himmat …

kāṇṭoṅ meṅ bhī gul khileṅge ġham kī bhī gul khuśhī hai
āṇsū ke pīchhe hṇsī hai
ummīd ko khonā nahīṅ māyūs tum honā nahīṅ
muśhkil kī ghaṛiyoṅ meṅ tum muskrānā
hāreṅge na himmat …