Aarazooen ro rahee hain ... kise maaloom thaa ik din

आरज़ूएँ रो रही हैं ... किसे मालूम था इक दिन्
Work
Year
Language

ल: आरज़ूएँ रो रही हैं हसरतें बरबाद हैं
हम ज़माने में फ़क़त इक दुःख भरी फ़रियाद हैं

किसे मालूम था इक दिन मोहब्बत बेज़ुबाँ होगी
वो ज़ालिम आसमाँ जाने मेरी दुनिया कहाँ होगी

त: कभी इक ख़्वाब देखा था मेरे पहलू में तुम होगे -2
कहानी प्यार की आँखों ही आँखों में बयाँ होगी
किसे मालूम था इक दिन …

ल: लहू दिल का मेरी आँखों का पानी बन के कहता है -2
ये पानी बन के कहता है
त: न हम होंगे न तुम होगे हमारी दास्ताँ होगी -2
ल: किसे मालूम था इक दिन …

la: ārazūeṇ ro rahī haiṅ hasarteṅ barbād haiṅ
ham zamāne meṅ faqat ik duḥakh bharī fariyād haiṅ

kise mālūm thā ik din mohabbat bezubāṇ hogī
vo zālim āsmāṇ jāne merī duniyā kahāṇ hogī

ta: kabhī ik khvāb dekhā thā mere pahlū meṅ tum hoge -2
kahānī pyār kī āṇkhoṅ hī āṇkhoṅ meṅ bayāṇ hogī
kise mālūm thā ik din …

la: lahū dil kā merī āṇkhoṅ kā pānī ban ke kahtā hai -2
ye pānī ban ke kahtā hai
ta: na ham hoṅge na tum hoge hamārī dāstāṇ hogī -2
la: kise mālūm thā ik din …