आप यूँ ही अगर हमसे मिलते रहे
आप यूँ ही अगर हमसे मिलते रहें
देखिए एक दिन प्यार हो जाएगा
ऐसी बातें ना कर ओ हसीन जादूगर
मेरा दिल तेरी आँखों में खो जाएगा
पीछे पीछे मेरे आप आती है क्यो
मेरी राहों में आँखे बिछाती है क्यो, आप आती हैं क्यो
क्या कहूँ आप से ये भी एक राज है
एक दिन इस का इज़हार हो जाएगा
कैसी जादूगरी की अरे जादूगर
तेरे चेहरे से हटती नहीं ये नज़र, हाय मेरी ये नज़र
ऐसी नज़रों से देखा अगर आपने
शर्म से रंग गुलनार हो जाएगा
मैं मोहब्बत की राहों से अनजान हूँ
क्या करूँ, क्या करूँ मैं परेशान हूँ, मैं परेशान हूँ
आपकी ये परेशानियाँ देखकर
मेरा दिल भी परेशान हो जाएगा
āp yūṇ hī agar hamse milte raheṅ
dekhie ek din pyār ho jāegā
aisī bāteṅ nā kar o hasīn jādūgar
merā dil terī āṇkhoṅ meṅ kho jāegā
pīchhe pīchhe mere āp ātī hai kyo
merī rāhoṅ meṅ āṇkhe bichhātī hai kyo, āp ātī haiṅ kyo
kyā kahūṇ āp se ye bhī ek rāj hai
ek din is kā izhār ho jāegā
kaisī jādūgrī kī are jādūgar
tere chehre se haṭtī nahīṅ ye nazar, hāy merī ye nazar
aisī nazroṅ se dekhā agar āpne
śharm se raṅg gulnār ho jāegā
maiṅ mohabbat kī rāhoṅ se anjān hūṇ
kyā karūṇ, kyā karūṇ maiṅ pareśhān hūṇ, maiṅ pareśhān hūṇ
āpkī ye pareśhāniyāṇ dekhkar
merā dil bhī pareśhān ho jāegā