Aap jab se qareeb aae hain pyaar ke rang

आप जब से क़रीब आए हैं प्यार के रंग्
Work
Year
Language

र: आप जब से क़रीब आए हैं
प्यार के रंग दिल पे छाए हैं

जलवा-ए-यार है निगाहों में
फूल बिखरे हुए हैं राहों में
दूर तक ज़िन्दगी के साए हैं
आप जब से क़रीब …

आ: दिल ने हल्की सी चोट खाई है
ज़िन्दगी अब समझ में आई है
हम खुद अपने नहीं पराए हैं
आप जब से क़रीब …

र: आपसे अपने दिल को हार के हम
इस क़दर ख़ुश हैं आप ही की क़सम
जैसे दुनिया को जीत लाए हैं
आप जब से क़रीब …

आ: खैर हो इश्क़ के फ़साने की
लग न जाए नज़र ज़माने की
हद से आगे क़दम बढ़ाए हैं
आप जब से क़रीब …

ra: āp jab se qarīb āe haiṅ
pyār ke raṅg dil pe chhāe haiṅ

jalvā-e-yār hai nigāhoṅ meṅ
phūl bikhre hue haiṅ rāhoṅ meṅ
dūr tak zindgī ke sāe haiṅ
āp jab se qarīb …

ā: dil ne halkī sī choṭ khāī hai
zindgī ab samajh meṅ āī hai
ham khud apne nahīṅ parāe haiṅ
āp jab se qarīb …

ra: āpse apne dil ko hār ke ham
is qadar khuśh haiṅ āp hī kī qasam
jaise duniyā ko jīt lāe haiṅ
āp jab se qarīb …

ā: khair ho iśhq ke fasāne kī
lag na jāe nazar zamāne kī
had se āge qadam baṛhāe haiṅ
āp jab se qarīb …