Aao mil jaae ham sugandh aur suman kee tarh

आओ मिल जाए हम सुगंध और सुमन की तरह
Work
Year
Language

आओ मिल जाए हम सुगंध और सुमन की तरह
एक हो जाए चलो जान और बदन की तरह

दिल के मंदिर में सजा रखी है मूरत तेरी
मेरे जीने की तो सूरत है ये सूरत तेरी
रात दिन साथ रहो सीने में धड़कन की तरह

एक जीवन की खुशी तुमने दी एक एक पल में
भर दिया सारे जग का प्यार मेरे आँचल में
प्यार का एक भी पल प्यारा है जीवन की तरह

āo mil jāe ham sugaṅdh aur suman kī tarah
ek ho jāe chalo jān aur badan kī tarah

dil ke maṅdir meṅ sajā rakhī hai mūrat terī
mere jīne kī to sūrat hai ye sūrat terī
rāt din sāth raho sīne meṅ dhaṛkan kī tarah

ek jīvan kī khuśhī tumne dī ek ek pal meṅ
bhar diyā sāre jag kā pyār mere āṇchal meṅ
pyār kā ek bhī pal pyārā hai jīvan kī tarh