Aao bachcho main tumhen ek kahaanee ... ek raaje kaa betaa

आओ बच्चो मैं तुम्हें एक कहानी ... एक राजे का बेटा
Work
Year
Language

hello
आओ बच्चो
तुम्हें एक कहानी सुनाऊँ

एक था राजे का बेटा
बैठे-बैठे
उसके दिल में
सैर की धुन समाई

चढ़ बैठा उढ़ने घोड़े पर
और उसको एड़ लगाई

ख़ूब थका जब उड़ते-उड़ते
तब घोड़े का मुँह फेरा

घनी छाँब देखी जिस जा
उस जा पर डाला डेरा

इतने में इक परियों की शहजादी उस जा आई
राजे के बेटे संग खेले
यही उसके मन भाई

अच्छा
अब यही कहानी गा कर तुम्हें सुनाता हूँ

एक राजे बेटा ले कर उड़ने वाला घोड़ा -2
देश-देश की सैर की ख़ातिर अपने घर से निकला -2

उड़ते-उड़ते चलते-चलते थके जो उसके पाँव -2
तो इक जा पर बैठ गया वो देख के ठण्डी छाँव -2

इतने में होनी ने अपनी बंसी वहाँ बजाई -2
जिसको सुन कर परियों की शहजादी दौड़ी आईइ -2

अच्छा बच्चों
जानते हो उसके बाद क्‌या हुआ

उसके बाद बहोत देर तक आपस में दोनों जी भर कर खेले
दोनों ने खाये मिल-जुल कर सेब अनार और केले

अच्छा बच्चों
अगर तुम्हे वो शहजादी मिल जाये
तो उसके साथ खेलोगे

वो बच्चों को बड़ी उम्दा-उम्दा चीज़ें खिलाती है

कहो हाँ
laugh

hello
āo bachcho
tumheṅ ek kahānī sunāūṇ

ek thā rāje kā beṭā
baiṭhe-baiṭhe
uske dil meṅ
sair kī dhun samāī

chaṛh baiṭhā uṛhne ghoṛe par
aur usko eṛ lagāī

khūb thakā jab uṛte-uṛte
tab ghoṛe kā muṇh pherā

ghanī chhāṇb dekhī jis jā
us jā par ḍālā ḍerā

itne meṅ ik pariyoṅ kī śhahjādī us jā āī
rāje ke beṭe saṅg khele
yahī uske man bhāī

achchhā
ab yahī kahānī gā kar tumheṅ sunātā hūṇ

ek rāje beṭā le kar uṛne vālā ghoṛā -2
deśh-deśh kī sair kī khātir apne ghar se niklā -2

uṛte-uṛte chalte-chalte thake jo uske pāṇv -2
to ik jā par baiṭh gayā vo dekh ke ṭhaṇḍī chhāṇv -2

itne meṅ honī ne apnī baṅsī vahāṇ bajāī -2
jisko sun kar pariyoṅ kī śhahjādī dauṛī āīi -2

achchhā bachchoṅ
jānte ho uske bād k‌yā huā

uske bād bahot der tak āpas meṅ donoṅ jī bhar kar khele
donoṅ ne khāye mil-jul kar seb anār aur kele

achchhā bachchoṅ
agar tumhe vo śhahjādī mil jāye
to uske sāth kheloge

vo bachchoṅ ko baṛī umdā-umdā chīzeṅ khilātī hai

kaho hāṇ
laugh