आँसू तो नहीं हैं आँखों में
आँसू तो नहीं हैं आँखों में
पहलू में मगर दिल जलता है, दिल जलता है
बूँदों पे लहू है हसरत का
जिगर पर आरा सा चलता है, दिल जलता है
जाग उठता है जब ग़म क्या कहिये
उस वक़्त का आलम क्या कहिये
जिस रात गये धीरे धीरे
जब कोई कलेजा मलता है, दिल जलता है
ऐ दर्द-ए-जिगर ये बात है क्या
ये आप ही अपनी रात है क्या
होती है कसक हर धड़कन में
हर साँस लिये खंजर चलता है, दिल जलता है
हम हार गये हैं तेरे ग़म से
देखा ही नहीं जाता हमसे
जलता है पतंगा जब कोई
और शम्मा का आँसू ढलता है, दिल जलता है
āṇsū to nahīṅ haiṅ āṇkhoṅ meṅ
pahlū meṅ magar dil jaltā hai, dil jaltā hai
būṇdoṅ pe lahū hai hasrat kā
jigar par ārā sā chaltā hai, dil jaltā hai
jāg uṭhtā hai jab ġham kyā kahiye
us vaqt kā ālam kyā kahiye
jis rāt gaye dhīre dhīre
jab koī kalejā maltā hai, dil jaltā hai
ai dard-e-jigar ye bāt hai kyā
ye āp hī apnī rāt hai kyā
hotī hai kasak har dhaṛkan meṅ
har sāṇs liye khaṅjar chaltā hai, dil jaltā hai
ham hār gaye haiṅ tere ġham se
dekhā hī nahīṅ jātā hamse
jaltā hai pataṅgā jab koī
aur śhammā kā āṇsū ḍhaltā hai, dil jaltā hai