Aankhon men hamne aapke sapne sajaaye hain

आँखों में हमने आपके सपने सजाये हैं
Year
Language

आँखों में हमने आपके सपने सजाये हैं
पलकें उठा के आपने जादू जगाये हैं
सपना भी आप ही हैं, हकीकत भी आप हैं
बस आप, आप, आप ही, मुझ में समाये हैं

आँखों का रंग ढूंढा है हीरे तराश कर
दिल में सजायेंगे ये रंग यूँ ही उम्रभर
मुश्किल से जिन्दगी के रंग हाथ आये हैं

दोहराये जायेंगे ना ये लम्हात अब कभी
सपनोंमें भी ना छूटेगा ये साथ अब कभी
मिलती है जिन्दगी जब आप मुस्कुराये हैं

ये दिल कुछ ऐसे आप के सजदे में झुक गया
नज़रे उठाई आपने, तो वक्त रुक गया
ठहरे हुये पलों में जमाने बिताये हैं

āṇkhoṅ meṅ hamne āpke sapne sajāye haiṅ
palkeṅ uṭhā ke āpne jādū jagāye haiṅ
sapnā bhī āp hī haiṅ, hakīkat bhī āp haiṅ
bas āp, āp, āp hī, mujh meṅ samāye haiṅ

āṇkhoṅ kā raṅg ḍhūṅḍhā hai hīre tarāśh kar
dil meṅ sajāyeṅge ye raṅg yūṇ hī umrbhar
muśhkil se jindgī ke raṅg hāth āye haiṅ

dohrāye jāyeṅge nā ye lamhāt ab kabhī
sapnoṅmeṅ bhī nā chhūṭegā ye sāth ab kabhī
miltī hai jindgī jab āp muskurāye haiṅ

ye dil kuchh aise āp ke sajde meṅ jhuk gayā
nazre uṭhāī āpne, to vakt ruk gayā
ṭhahre huye paloṅ meṅ jamāne bitāye haiṅ