In aankhon kee mastee ke mastaane hazaaron hain

इन आँखों की मस्ती के मस्ताने हज़ारों हैं
Work
Year
Language

इन आँखों की मस्ती के मस्ताने हज़ारों हैं
इन आँखों से वाबस्ता अफ़साने हज़ारों हैं
इन आंखों…

इक तुम ही नहीं तन्हा, उलफ़त में मेरी रुसवा
इस शहर में तुम जैसे दीवाने हज़ारों हैं
इन आँखों…

इक सिर्फ़ हम ही मय को आँखों से पिलाते हैं
कहने को तो दुनिया में मयखाने हज़ारों हैं
इन आँखों…

इस शम्म-ए-फ़रोज़ाँ को आंधी से डराते हो
इस शम्म-ए-फ़रोज़ाँ के परवाने हज़ारों हैं
इन आँखों…

in āṇkhoṅ kī mastī ke mastāne hazāroṅ haiṅ
in āṇkhoṅ se vābastā afsāne hazāroṅ haiṅ
in āṅkhoṅ…

ik tum hī nahīṅ tanhā, ulafat meṅ merī rusvā
is śhahar meṅ tum jaise dīvāne hazāroṅ haiṅ
in āṇkhoṅ…

ik sirf ham hī may ko āṇkhoṅ se pilāte haiṅ
kahne ko to duniyā meṅ maykhāne hazāroṅ haiṅ
in āṇkhoṅ…

is śhamm-e-farozāṇ ko āṅdhī se ḍarāte ho
is śhamm-e-farozāṇ ke parvāne hazāroṅ haiṅ
in āṇkhoṅ…