Aankh milne kaa bahaanaa ho gayaa

आँख मिलने का बहाना हो गया
Year
Language

आँख मिलने का बहाना हो गया
दिल बेगाना था बेगाना हो गया

तीर टेढ़ा उसने फैंका था मगर
आगे बढ़ के दिल निशाना हो गया

इन्तज़ारी में क़यामत आ गई
इक क़यामत उनका आना हो गया

जब से तुम मेरे हुए हो ए हुज़ूर
तब से दुश्मन कुल ज़माना हो गया

उनको देखा और फिर देखा 'वली'
बात इतनी थी फ़साना हो गया

āṇkh milne kā bahānā ho gayā
dil begānā thā begānā ho gayā

tīr ṭeṛhā usne phaiṅkā thā magar
āge baṛh ke dil niśhānā ho gayā

intazārī meṅ qayāmat ā gaī
ik qayāmat unkā ānā ho gayā

jab se tum mere hue ho e huzūr
tab se duśhman kul zamānā ho gayā

unko dekhā aur phir dekhā 'valī'
bāt itnī thī fasānā ho gayā