Aajaa re pardesee

आजा रे परदेसी
Work
Year
Language

मैं तो कब से खड़ी इस पार
ये अँखियाँ थक गयी पंथ निहार
आजा रे, परदेसी

मैं दिये की ऐसी बाती
जल ना सकी जो, बुझ भी ना पाती
आ मिल मेरे जीवन साथी

तुम संग जनम जनम के फेरे
भूल गये क्यों साजन मेरे
तडपत हूँ मैं साँझ सवेरे

मैं नदिया फिर भी मैं प्यासी
भेद ये गहरा, बात ज़रा सी
बिन तेरे हर साँस उदासी

maiṅ to kab se khaṛī is pār
ye aṇkhiyāṇ thak gayī paṅth nihār
ājā re, pardesī

maiṅ diye kī aisī bātī
jal nā sakī jo, bujh bhī nā pātī
ā mil mere jīvan sāthī

tum saṅg janam janam ke phere
bhūl gaye kyoṅ sājan mere
taḍapat hūṇ maiṅ sāṇjh savere

maiṅ nadiyā phir bhī maiṅ pyāsī
bhed ye gahrā, bāt zarā sī
bin tere har sāṇs udāsī