Aajaa re aajaa ... kho die hain sanam teree talaash men

आजा रे आजा ... खो दिए हैं सनम तेरी तलाश में
Year
Language

( आजा रे ) -2 ( आजा ) -3
खो दिए हैं सनम तेरी तलाश में पिछले कई जनम -2
आजा रे …

इस दिल को दर्द की वो आग तूने दी
सदियों से ये चिता ( जलकर नहीइं बुझी ) -2
खो दिए हैं सनम …

आँखों से अश्क़-ए-ग़म सूखे नहीं अभी
आजा के बाँट लें ( शिक़वे-गिले सभी ) -2
खो दिए हैं सनम …

तेरे लिए मिला ये आखरी जनम
मुमक़िन कहाँ मिलें ( फिर इसके बाद हम ) -2
खो दिए हैं सनम …

( ājā re ) -2 ( ājā ) -3
kho die haiṅ sanam terī talāśh meṅ pichhle kaī janam -2
ājā re …

is dil ko dard kī vo āg tūne dī
sadiyoṅ se ye chitā ( jalkar nahīiṅ bujhī ) -2
kho die haiṅ sanam …

āṇkhoṅ se aśhq-e-ġham sūkhe nahīṅ abhī
ājā ke bāṇṭ leṅ ( śhiqve-gile sabhī ) -2
kho die haiṅ sanam …

tere lie milā ye ākhrī janam
mumaqin kahāṇ mileṅ ( phir iske bād ham ) -2
kho die haiṅ sanam …