Aaj sajan mohe ang lagaalo, janam safal ho jaaye

आज सजन मोहे अंग लगालो, जनम सफ़ल हो जाये
Work
Year
Language

सखी री बिरहा के दुखड़े सह सह कर जब राधे बेसुध हो ली
तो इक दिन अपने मनमोहन से जा कर यूँ बोली

आज सजन मोहे अंग लगालो
जनम सफ़ल हो जाये
हृदय की पीड़ा देह की अग्नि
सब शीतल हो जाये

करूं लाख जतन मोरे मन की तपन
मोरे तन की जलन नहीं जाये
कैसी लागी ये लगन कैसी जागी ये अगन
जिया धीर धरन नहीं पाये
प्रेम सुधा … मोरे साँवरिया
प्रेम सुधा इतनी बरसा दो जग जल थल हो जाये
आज सजन …

मोहे अपना बनालो मेरी बाँह पकड़
मैं हूँ जनम जनम की दासी
मेरी प्यास बुझा दो मनहर गिरिधर, प्यास बुझा दो
मैं हूँ अन्तर्घट तक प्यासी
प्रेम सुधा … मोरे साँवरिया
प्रेम सुधा इतनी बरसा दो जग जल थल हो जाये
आज सजन …

कई जुग से हैं जागे
मोरे नैन अभागे) 2
कहीं जिया नहीं लागे बिन तोरे
सुख देखे नहीं आगे 2
दुःख पीछे पीछे भागे
जग सूना सूना लागे बिन तोरे
प्रेम सुधा, मोरे साँवरिया, साँवरिया
प्रेम सुधा इतनी बरसा दो जग जल थल हो जाये
आज सजन …

sakhī rī birhā ke dukhaṛe sah sah kar jab rādhe besudh ho lī
to ik din apne manmohan se jā kar yūṇ bolī

āj sajan mohe aṅg lagālo
janam safal ho jāye
hṛday kī pīṛā deh kī agni
sab śhītal ho jāye

karūṅ lākh jatan more man kī tapan
more tan kī jalan nahīṅ jāye
kaisī lāgī ye lagan kaisī jāgī ye agan
jiyā dhīr dharan nahīṅ pāye
prem sudhā … more sāṇvriyā
prem sudhā itnī barsā do jag jal thal ho jāye
āj sajan …

mohe apnā banālo merī bāṇh pakaṛ
maiṅ hūṇ janam janam kī dāsī
merī pyās bujhā do manahar giridhar, pyās bujhā do
maiṅ hūṇ antarghaṭ tak pyāsī
prem sudhā … more sāṇvriyā
prem sudhā itnī barsā do jag jal thal ho jāye
āj sajan …

kaī jug se haiṅ jāge
more nain abhāge) 2
kahīṅ jiyā nahīṅ lāge bin tore
sukh dekhe nahīṅ āge 2
duḥakh pīchhe pīchhe bhāge
jag sūnā sūnā lāge bin tore
prem sudhā, more sāṇvriyā, sāṇvriyā
prem sudhā itnī barsā do jag jal thal ho jāye
āj sajan …