Aaj mausam baraa beeemaan hai, aaj mausam

आज मौसम बड़ा बेईमान है, आज मौसम्
Work
Year
Language

आज मौसम बड़ा बेईमान है
बड़ा बेईमान है, आज मौसम
आने वाला कोई तूफ़ान है
कोई तूफ़ान है, आज मौसम

क्‌या हुआ है, हुआ कुछ नहीं है
बात क्‌या है पता कुछ नहीं है
मुझसे कोई ख़ता हो गई तो
इस में मेरी ख़ता कुछ नहीं है
ख़ूबसूरत है तू रुत जवान है
आज मौसम बड़ा बेईमान है

काली-काली घटा दर रही है
ठंडी आहें हवा भर रही है
सबको क्‌या-क्‌या गुमान हो रहे हैं
हर कली हम पे शक कर रही है
फूलों का दिल भी कुछ बदगुमान है

ऐ मेरे यार ऐ हुस्न वाले
दिल किया मैंने तेरे हवाले
तेरी मर्ज़ी पे अब बात ठहरी
जीने दे चाहे तू मार डाले
तेरे हाथों में अब मेरी जान है

āj mausam baṛā beīmān hai
baṛā beīmān hai, āj mausam
āne vālā koī tūfān hai
koī tūfān hai, āj mausam

k‌yā huā hai, huā kuchh nahīṅ hai
bāt k‌yā hai patā kuchh nahīṅ hai
mujhse koī khatā ho gaī to
is meṅ merī khatā kuchh nahīṅ hai
khūbsūrat hai tū rut javān hai
āj mausam baṛā beīmān hai

kālī-kālī ghaṭā dar rahī hai
ṭhaṅḍī āheṅ havā bhar rahī hai
sabko k‌yā-k‌yā gumān ho rahe haiṅ
har kalī ham pe śhak kar rahī hai
phūloṅ kā dil bhī kuchh badgumān hai

ai mere yār ai husn vāle
dil kiyā maiṅne tere havāle
terī marzī pe ab bāt ṭhahrī
jīne de chāhe tū mār ḍāle
tere hāthoṅ meṅ ab merī jān hai