Aaj kee raat mere, dil kee salaamee le le

आज की रात मेरे, दिल की सलामी ले ले
Year
Language

ये रात जैसे दुल्हन बन गई है चिरागों से
करुंगा उजाला मैं दिल के दाग़ों से

आज की रात मेरे, दिल की सलामी ले ले
दिल की सलामी ले ले
कल तेरी बज़्म से दीवाना चला जाएगा
शम्मा रहे जाएगी परवाना चला जाएगा

तेरी महफ़िल तेरे जलवे हों मुबारक तुझको
तेरी उल्फ़त से नहीं आज भी इनकार मुझे
तेरा मय-खाना सलामत रहे ऐ जान-ए-वफ़ा
मुस्कुराकर तू ज़रा देख ले इक बार मुझे
फिर तेरे प्यार का मस्ताना चला जाएगा

मैने चाहा कि बता दूँ मैं हक़ीक़त अपनी
तूने लेकिन न मेरा राज़-ए-मुहब्बत समझा
मेरी उलझन मेरे हालात यहाँ तक पहुंचे
तेरी आँखों ने मेरे प्यार को नफ़रत समझा
अब तेरी राह से बेगाना चला जाएगा

तू मेरा साथ न दे राह-ए-मुहब्बत में सनम
चलते-चलते मैं किसी राह पे मुड़ जाऊंगा
कहकशां चांद सितारे तेरे चूमेंगे क़दम
तेरे रस्ते की मैं एक धूल हूँ उड़ जाऊंगा
साथ मेरे मेरा अफ़साना चला जाएगा

ye rāt jaise dulhan ban gaī hai chirāgoṅ se
karuṅgā ujālā maiṅ dil ke dāġhoṅ se

āj kī rāt mere, dil kī salāmī le le
dil kī salāmī le le
kal terī bazam se dīvānā chalā jāegā
śhammā rahe jāegī parvānā chalā jāegā

terī mahafil tere jalve hoṅ mubārak tujhko
terī ulfat se nahīṅ āj bhī inkār mujhe
terā may-khānā salāmat rahe ai jān-e-vafā
muskurākar tū zarā dekh le ik bār mujhe
phir tere pyār kā mastānā chalā jāegā

maine chāhā ki batā dūṇ maiṅ haqīqat apnī
tūne lekin na merā rāz-e-muhabbat samjhā
merī uljhan mere hālāt yahāṇ tak pahuṅche
terī āṇkhoṅ ne mere pyār ko nafrat samjhā
ab terī rāh se begānā chalā jāegā

tū merā sāth na de rāh-e-muhabbat meṅ sanam
chalte-chalte maiṅ kisī rāh pe muṛ jāūṅgā
kahakśhāṅ chāṅd sitāre tere chūmeṅge qadam
tere raste kī maiṅ ek dhūl hūṇ uṛ jāūṅgā
sāth mere merā afsānā chalā jāegā