Aaj gaavat man mero jhoom ke

आज गावत मन मेरो झूम के
Year
Language

आज गावत मन मेरो झूम के
तोरी तान भगवान
आज गावत मन मेरो …

हार गया तो जीवन जावे
जीता गायक दुनिया पावे
रखियो अब मोरी शान रे
आज गावत मन मेरो …

प्रेम के कारण प्रेमी गावे
तानों से बादल पिघरावे
जगत में रहे मान रे
आज गावत मन मेरो …

सात सुरों के मधुर मिलन में
जादू आज जगा दें
बैजू के संगीत विधाता
जल में आग लगा दें
जल में आग लगा दें
आऽ
आज गावत मन मेरो …

āj gāvat man mero jhūm ke
torī tān bhagvān
āj gāvat man mero …

hār gayā to jīvan jāve
jītā gāyak duniyā pāve
rakhiyo ab morī śhān re
āj gāvat man mero …

prem ke kāraṇ premī gāve
tānoṅ se bādal pighrāve
jagat meṅ rahe mān re
āj gāvat man mero …

sāt suroṅ ke madhur milan meṅ
jādū āj jagā deṅ
baijū ke saṅgīt vidhātā
jal meṅ āg lagā deṅ
jal meṅ āg lagā deṅ
ā'
āj gāvat man mero …