आज दिल पे कोई ज़ोर चलता नहीं
आज दिल पे कोई ज़ोर चलता नहीं
मुस्कुराने लगे थे मगर रो पड़े
रोज़ ही की तरह आज भी दर्द था
हम छुपाने लगे थे मगर रो पड़े
और अब क्या कहें, क्या हुआ है हमें
तुम तो हो बेखबर, हम भी अन्जान हैं
बस यही जान लो तो बहुत हो गया
हम भी रखते हैं दिल, हम भी इन्सान हैं
मुस्कुराते हुए हम बहाना कोई
फ़िर बनाने लगे थे मगर रो पड़े
हैं सितारे कहाँ इतने आकाश पर
हर एक को अगर इक सितारा मिले
कश्तियों के लिये ये भंवर भी तो हैं
क्या ज़रूरी है हर एक को किनारा मिले
बस यही सोच कर हम बढ़े चैन से
डूब जाने लगे थे मगर रो पड़े
उम्र भर काश हम यूं ही रोते रहे
आज क्यूं के हमें ये हुई है खबर
मुस्कुराहट की तो कोई कीमत नहीं
आँसुओं से हुई है हमारी कदर
बादलों की तरह हम तो बरसे बिना
लौट जाने लगे थे मगर रो पड़े
āj dil pe koī zor chaltā nahīṅ
muskurāne lage the magar ro paṛe
roz hī kī tarah āj bhī dard thā
ham chhupāne lage the magar ro paṛe
aur ab kyā kaheṅ, kyā huā hai hameṅ
tum to ho bekhabar, ham bhī anjān haiṅ
bas yahī jān lo to bahut ho gayā
ham bhī rakhte haiṅ dil, ham bhī insān haiṅ
muskurāte hue ham bahānā koī
fir banāne lage the magar ro paṛe
haiṅ sitāre kahāṇ itne ākāśh par
har ek ko agar ik sitārā mile
kaśhtiyoṅ ke liye ye bhaṅvar bhī to haiṅ
kyā zarūrī hai har ek ko kinārā mile
bas yahī soch kar ham baṛhe chain se
ḍūb jāne lage the magar ro paṛe
umr bhar kāśh ham yūṅ hī rote rahe
āj kyūṅ ke hameṅ ye huī hai khabar
muskurāhaṭ kī to koī kīmat nahīṅ
āṇsuoṅ se huī hai hamārī kadar
bādloṅ kī tarah ham to barse binā
lauṭ jāne lage the magar ro paṛe