आज बिछडे है, कल का डर भी नहीं
आज बिछड़े हैं, कल का डर भी नहीं
जिन्दगी इतनी मुख़्तसर भी नहीं
जख्म दिखते नहीं अभी लेकीन
ठंडे होंगे तो दर्द निकलेगा
तैश उतरेगा वक्त का जब भी
चेहरा अन्दर से जर्द निकलेगा
कहनेवालों का कुछ नहीं जाता
सहने वाले कमाल करते हैं
कौन ढूंढें जवाब दर्दों के
लोग तो बस सवाल करते हैं
कल जो आयेगा जाने क्या होगा
बीत जाए जो कल नहीं आते
वक्त की शाख तोड़ने वालों
टूटी शाखों पे फल नहीं आते
कच्ची मिट्टी है दिल भी इंसान भी
देखने ही में सख्त लगता है
आँसू पोछे तो आँसुओं के निशाँ
खुश्क होने में वक्त लगता है
āj bichhaṛe haiṅ, kal kā ḍar bhī nahīṅ
jindgī itnī mukhtasar bhī nahīṅ
jakhm dikhte nahīṅ abhī lekīn
ṭhaṅḍe hoṅge to dard niklegā
taiśh utregā vakt kā jab bhī
chehrā andar se jard niklegā
kahnevāloṅ kā kuchh nahīṅ jātā
sahne vāle kamāl karte haiṅ
kaun ḍhūṅḍheṅ javāb dardoṅ ke
log to bas savāl karte haiṅ
kal jo āyegā jāne kyā hogā
bīt jāe jo kal nahīṅ āte
vakt kī śhākh toṛne vāloṅ
ṭūṭī śhākhoṅ pe phal nahīṅ āte
kachchī miṭṭī hai dil bhī iṅsān bhī
dekhne hī meṅ sakht lagtā hai
āṇsū pochhe to āṇsuoṅ ke niśhāṇ
khuśhk hone meṅ vakt lagtā hai