Aae bahaar ban ke lubhaa kar chale gae

आए बहार बन के लुभा कर चले गए
Work
Year
Language

आए बहार बन के लुभा कर चले गए
क्‌या राज़ था जो दिल में छुपा कर चले गए
आए बहार बन के …

कहने को वो हसीन थे आँखें थीं बेवफ़ा
हाय आँखें थीं बेवफ़ा
कहने को वो हसीन थे आँखें थीं बेवफ़ा
हाय
दामन मेरी नज़र से बचा कर चले गए
आए बहार बन के …

इतना मुझे बताओ मेरे दिल की धड़कनों
हाय दिल की धड़कनों
इतना मुझे बताओ मेरे दिल की धड़कनों
हाय
वो कौन थे जो ख़्वाब दिखाकर चले गए
आए बहार बन के …

āe bahār ban ke lubhā kar chale gae
k‌yā rāz thā jo dil meṅ chhupā kar chale gae
āe bahār ban ke …

kahne ko vo hasīn the āṇkheṅ thīṅ bevafā
hāy āṇkheṅ thīṅ bevafā
kahne ko vo hasīn the āṇkheṅ thīṅ bevafā
hāy
dāman merī nazar se bachā kar chale gae
āe bahār ban ke …

itnā mujhe batāo mere dil kī dhaṛaknoṅ
hāy dil kī dhaṛaknoṅ
itnā mujhe batāo mere dil kī dhaṛaknoṅ
hāy
vo kaun the jo khvāb dikhākar chale gae
āe bahār ban ke …