Aa ... ye pyaar to hai ek dhokhaa ... allaah kare dil na laage kisee se

आ ... ये प्यार तो है एक धोखा ... अल्लाह करे दिल न लागे किसी से
Work
Year
Language

अ: आ ( आ आ आ ) -3
ये प्यार तो है एक धोखा इसलिए मैने दिल को रोका -2
हम जिस पे मरें वो भी हमपे मरे सोच के रात भर हम जगे
ओय ओय ओय ओय
अल्लाह करे दिल न लागे किसी से -4

बड़ा सीधा-सादा बड़ा भोला-भाला
है सबसे जुदा वो दीवाना मेरा
अभी फ़ासला है मगर ये पता है
हक़ीक़त बनेगा फ़साना मेरा

बड़े जोश में है न हम होश में हैं
संभालो हमें हम बहकने लगे
बताएँ तो कैसे छुआ तुमने ऐसे
तो हम बन के ख़ुश्बू महकने लगे
सो: इश्क़ तो है हवाओं का झोंका इसलिए मैने दिल को रोका -2
अ: हम जिस पे मरें …
अल्लाह करे दिल न …

सो: सुहानी डगर में तुम्हारी नज़र में
ख़यालों की दुनिया बसाएँगे हम
मोहब्बत की लड़ियाँ हसीं चन्द घड़ियाँ
सनम ज़िन्दगी से चुराएँगे हम

अ: सजा दो ये गेसू चुरा लो ये ख़ुश्बू
मुझे बाज़ुओं में छुपा लो सनम
बहारों में आ के गले से लगा के
मुझे अपनी दुल्हन बना लो सनम
सो: इस चाहत ने हमको टोका इसलिए मैने दिल को रोका -2
अ: हम जिस पे मरें …
अल्लाह करे दिल न …

a: ā ( ā ā ā ) -3
ye pyār to hai ek dhokhā islie maine dil ko rokā -2
ham jis pe mareṅ vo bhī hampe mare soch ke rāt bhar ham jage
oy oy oy oy
allāh kare dil na lāge kisī se -4

baṛā sīdhā-sādā baṛā bholā-bhālā
hai sabse judā vo dīvānā merā
abhī fāslā hai magar ye patā hai
haqīqat banegā fasānā merā

baṛe jośh meṅ hai na ham hośh meṅ haiṅ
saṅbhālo hameṅ ham bahakne lage
batāeṇ to kaise chhuā tumne aise
to ham ban ke khuśhbū mahakne lage
so: iśhq to hai havāoṅ kā jhoṅkā islie maine dil ko rokā -2
a: ham jis pe mareṅ …
allāh kare dil na …

so: suhānī ḍagar meṅ tumhārī nazar meṅ
khayāloṅ kī duniyā basāeṇge ham
mohabbat kī laṛiyāṇ hasīṅ chand ghaṛiyāṇ
sanam zindgī se churāeṇge ham

a: sajā do ye gesū churā lo ye khuśhbū
mujhe bāzuoṅ meṅ chhupā lo sanam
bahāroṅ meṅ ā ke gale se lagā ke
mujhe apnī dulhan banā lo sanam
so: is chāhat ne hamko ṭokā islie maine dil ko rokā -2
a: ham jis pe mareṅ …
allāh kare dil na …