आ के सज्जादा-नशीं कैसे हुआ मेरे बाद्
आ के सज्जादा-नशीं कैसे हुआ मेरे बाद
न रही दश्त में काली कोई जा मेरे बाद
चाक करना है इसी ग़म से गिरेबान-ए-क़फ़न
कौन खोलेगा तेरे बन्द-ए-कबा मेरे बाद
वो हवा-खाह-ए-चमन हूँ के चमन में हर सुबह
पहले मैं जाता था और बाद-ए-सबा मेरे बाद
तेज़ रखना सर-ए-हर ख़ार को ऐ दश्त-ए-जुनूँ
शायद आ जाये कोई आब्ला-पा मेरे बाद
मुँह पे रख दामन-ए-गुल रोयेंगे मुर्ग़ान-ए-चमन
हर रविश ख़ाक उड़ाएगी सबा मेरे बाद
बाद मरने के मेरी कब्र पे आया वो 'मीर्'
याद आई मेरे ईसा को दवा मेरे बाद्
ā ke sajjādā-naśhīṅ kaise huā mere bād
na rahī daśht meṅ kālī koī jā mere bād
chāk karnā hai isī ġham se girebān-e-qafan
kaun kholegā tere band-e-kabā mere bād
vo havā-khāh-e-chaman hūṇ ke chaman meṅ har subah
pahle maiṅ jātā thā aur bād-e-sabā mere bād
tez rakhnā sar-e-har khār ko ai daśht-e-junūṇ
śhāyad ā jāye koī āblā-pā mere bād
muṇh pe rakh dāman-e-gul royeṅge murġhān-e-chaman
har raviśh khāk uṛāegī sabā mere bād
bād marne ke merī kabr pe āyā vo 'mīr'
yād āī mere īsā ko davā mere bād