Aa ke ek pal mujhe qaraar naheen hai

आ के एक पल मुझे क़रार नहीं है
Year
Language

आ के एक पल मुझे क़रार नहीं है
बिन तेरे बहार भी बहार नहीं है

पास-ए-वफ़ा देख ये दिल ग़म से है बोझल
फिर भी मेरी आँख अश्क़-बार नहीं है

तेरी मुहब्बत का यक़ीं मुझको है जानाँ
अपनी ही क़िसमत पे ऐतबार नहीं है

कितने उठाये हैं सितम इश्क़ में हमने
इतने कि जिनका कोई शुमार नहीं है

किसलिये फिर जागती रहती हैं ये आँखें
इनको अब तेरा इंतज़ार नहीं है

ā ke ek pal mujhe qarār nahīṅ hai
bin tere bahār bhī bahār nahīṅ hai

pās-e-vafā dekh ye dil ġham se hai bojhal
phir bhī merī āṇkh aśhq-bār nahīṅ hai

terī muhabbat kā yaqīṅ mujhko hai jānāṇ
apnī hī qismat pe aitbār nahīṅ hai

kitne uṭhāye haiṅ sitam iśhq meṅ hamne
itne ki jinkā koī śhumār nahīṅ hai

kisliye phir jāgtī rahtī haiṅ ye āṇkheṅ
inko ab terā iṅtazār nahīṅ hai