आ जा तुझे अफ़साना जुदाई का सुनाएँ
जो दिल पे गुज़रती है वो आँखों से बतायेँ
ओ जाने वाले उनको ये पैग़ाम सुनाना
दुनिया की तरह वो भी मुझे भूल ना जाएँ
अब उन से यही कहती है रोती हुई आँखें
या मौत को वो भेज दें या ख़ुद चले आएँ
पुछे वो मेरा हाल तो कहना उन्हें रो कर
जीते हैं मगर करते हैं मरने की दुआएँ
ā jā tujhe afsānā judāī kā sunāeṇ
jo dil pe guzartī hai vo āṇkhoṅ se batāyeṇ
o jāne vāle unko ye paiġhām sunānā
duniyā kī tarah vo bhī mujhe bhūl nā jāeṇ
ab un se yahī kahtī hai rotī huī āṇkheṅ
yā maut ko vo bhej deṅ yā khud chale āeṇ
puchhe vo merā hāl to kahnā unheṅ ro kar
jīte haiṅ magar karte haiṅ marne kī duāeṇ