Aa jaa aa jaa aa jaa meree barbaad muhabbat ke sahaare

आ जा आ जा आ जा मेरी बर्बाद मुहब्बत के सहारे
Year
Language

आ जा आ जा …
आ जा मेरी बरबाद मोहब्बत के सहारे
है कौन जो बिगड़ी हुई तक़दीर संवारे
है कौन जो …

आये भी ना थे खुश्क हुए (आँखों में आँसू - 2)
निकले भी ना थे लुट गये अरमान बेचारे
है कौन जो …

अंजाम-ए-मोहब्बत हमें (मालूम है लेकिन - 2)
लेटे हैं तेरे ग़म में उम्मीदों के सहारे
है कौन जो …

था दिल को फ़कत तेरी (मोहब्बत का सहारा - 2)
हमने इसी उम्मीद पे दिन अपने गुज़ारे
है कौन जो …

ā jā ā jā …
ā jā merī barbād mohabbat ke sahāre
hai kaun jo bigaṛī huī taqdīr saṅvāre
hai kaun jo …

āye bhī nā the khuśhk hue (āṇkhoṅ meṅ āṇsū - 2)
nikle bhī nā the luṭ gaye armān bechāre
hai kaun jo …

aṅjām-e-mohabbat hameṅ (mālūm hai lekin - 2)
leṭe haiṅ tere ġham meṅ ummīdoṅ ke sahāre
hai kaun jo …

thā dil ko fakat terī (mohabbat kā sahārā - 2)
hamne isī ummīd pe din apne guzāre
hai kaun jo …