Aa gae din sanam ikraar ke ... hogee pyaar kee jeet

आ गए दिन सनम इकरार के ... होगी प्यार की जीत्
Year
Language

आ गए दिन सनम इकरार के
कभी कहीं न हम रुकेंगे हार के
आ गए दिन सनम …

ओ मनमीत होगी प्यार की जीत
है रब भी साथ उनके जो करते हैं प्रीत
होगी प्यार की जीत
है रब भी …

कुछ भी ज़माना करे हम ना किसी से डरें
हम चल पड़े आसमां को झुकाएं
दिल के लहू से लिखेंगे फ़साने
आ गए दिन सनम इज़हार के
कभी कहीं न …

ले के नए ज़लज़ले तूफ़ान बन के चले
गाते रहेंगे मिलन के तराने
होंगे जुदा ना कभी हम दीवाने
आ गए दिन सनम दीदार के
कभी कहीं न …

ā gae din sanam ikrār ke
kabhī kahīṅ na ham rukeṅge hār ke
ā gae din sanam …

o manmīt hogī pyār kī jīt
hai rab bhī sāth unke jo karte haiṅ prīt
hogī pyār kī jīt
hai rab bhī …

kuchh bhī zamānā kare ham nā kisī se ḍareṅ
ham chal paṛe āsmāṅ ko jhukāeṅ
dil ke lahū se likheṅge fasāne
ā gae din sanam izhār ke
kabhī kahīṅ na …

le ke nae zalazle tūfān ban ke chale
gāte raheṅge milan ke tarāne
hoṅge judā nā kabhī ham dīvāne
ā gae din sanam dīdār ke
kabhī kahīṅ na …