Aa gae dil men tum meree mahafil men tum

आ गए दिल में तुम मेरी महफ़िल में तुम्
Work
Year
Language

आ गए दिल में तुम मेरी महफ़िल में तुम
बच के नज़रों से मेरी कहाँ जाओगे
आए मिलने के दिन फूल खिलने के दिन
हम पुकारेंगे और तुम चले आओगे

तेरी ख़ातिर यहाँ मुझको आना पड़ा
गीत गाया हुआ फिर से गाना पड़ा
देख ले है मुहब्बत में इतना असर
मिल गई फिर हमारी तुम्हारी नज़र
ज़िन्दगी है जवाँ अब जुदाई कहाँ
जिस जगह जाओगे तुम हमें पाओगे
आ गए दिल में तुम …

ā gae dil meṅ tum merī mahafil meṅ tum
bach ke nazroṅ se merī kahāṇ jāoge
āe milne ke din phūl khilne ke din
ham pukāreṅge aur tum chale āoge

terī khātir yahāṇ mujhko ānā paṛā
gīt gāyā huā phir se gānā paṛā
dekh le hai muhabbat meṅ itnā asar
mil gaī phir hamārī tumhārī nazar
zindgī hai javāṇ ab judāī kahāṇ
jis jagah jāoge tum hameṅ pāoge
ā gae dil meṅ tum …